jab bhi hamein kuchh ishq ka hasil nazar aaya dar-parda koi apne muqabil nazar aaya jaise ki bahaar aa gai ujde hue ghar mein jab daman-e-dil se koi wasil nazar aaya ek sans liya tha abhi aazad faza mein phir silsila-e-tauq-o-salasil nazar aaya guzra jo teri rahguzar se kabhi ai dost har zarra se lipta hua ek dil nazar aaya chhedo na mujhe main bhi usi dar ka gada hun har ek tawangar jahan sail nazar aaya duniya-e-mohabbat mein na puchh hum se ki hum ko jina hi nahin marna bhi mushkil nazar aaya kahla ke ghazal hum se jo padhta raha kal tak kahte hain taghazzul mein wo kaamil nazar aaya