jab bhi mila wo tut ke hum se mila to hai zahir hai is khulus mein kuchh muddaa to hai us ko naya mizaj naya zehn chahiye bachcha zaban chalata nahin sochta to hai kya munsifi hai aap ki khud dekh lijiye insaf-e-shahr shahr-e-tamasha bana to hai dhabbe lahu ke hum ko bata denge rasta shayad kisi ke panw mein kanta chubha to hai manzil ki justuju mein akele nahin hain hum hamrah to nahin hai tera naqsh-e-pa to hai go amn ho gaya hai wahan qatl-o-khun ke baad darwaza sazishon ka abhi tak khula to hai tahzib ke libaade mein sab be-libas hain 'anjum' tere badan pe darida qaba to hai