jab se KHat hai siyah-Khaal ki thang

jab se khat hai siyah-khal ki thang
tab se lutti hai hind chaaron dang

baat amal ki chali hi jati hai
hai magar auj-bin-unuq ki tang

ban jo kuchh ban sake jawani mein
raat to thodi hai bahut hai sang

ishq ka shor koi chhupta hai
nala-e-andalib hai gul-bang

us zaqan mein bhi sabzi hai khat ki
dekho jidhar kunen padi hai bhang

kis tarah un se koi garm mile
sim-tan pighle jate hain jon rang

chali jati hai hasab qadr-e-buland
dur tak us pahad ki hai dang

tafra baatil tha tur par apne
warna jate ye daud hum bhi phalang

main ne kya us ghazal ko sahal kiya
qafiye hi the us ke ut-patang

'mir' bandon se kaam kab nikla
mangna hai jo kuchh khuda se mang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close