jab se ye ijtinab hai pyare dil ko aur iztirab hai pyare ab jo tera itab hai pyare zindagi kaamyab hai pyare yun taghaful-shiar ban jaana kya wafa ka jawab hai pyare han tera is mein kuchh qusur nahin meri qismat kharab hai pyare aa ki tere baghair ab meri zindagani azab hai pyare main sarapa nigah-e-shauq hun aur tu mujassam shabab hai pyare tujh se milne bhi to nahin deta ye zamana kharab hai pyare ishq bhi be-nazir hai wallah husn gar la-jawab hai pyare jo na parde mein bhi tujhe chhode wo nazar kaamyab hai pyare jis pe teri nazar ho wo zarra rashk-e-sad-aftab hai pyare apne 'talat' ki qadr jaan ki wo tera khana-kharab hai pyare