jab talak nam tera wird-e-zaban rahta hai dil ki basti mein ajab ek saman rahta hai ek muddat hui wo shakhs juda hai mujh se ab khuda jaane wo kaisa hai kahan rahta hai yun nahin hai ki hamein tere sitam yaad nahin zakhm bhar jae agar phir bhi nishan rahta hai hain baja sab teri baaten bhi magar ai naseh ishq ho jae to phir hosh kahan rahta hai koi rut ho koi mausam ho koi aalam ho ishq ka shoala mere dil mein tapan rahta hai