jab tere hijr ke aasar nazar aate hain

jab tere hijr ke aasar nazar aate hain
mujh ko phulon mein bhi phir khar nazar aate hain

mund lin is liye barbaadi pe aankhen main ne
mere apne hi zimmedar nazar aate hain

ya wahi bughz wahi kina wahi nafrat hai
ya mohabbat ke bhi aasar nazar aate hain

main hawaon ke taaqub mein bhatak jati hun
phir ishaare mujhe be-kar nazar aate hain

main bulandi se girai gai jis mehnat se
is mein apnon ke bhi kirdar nazar aate hain

shash-jihat dukh ke hain ambar hi poshida yahan
jis qadar hain pas-e-diwar nazar aate hain

aankh lagti hai to main khauf se uth jati hun
khwab mein qafile khun-khar nazar aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close