jabin-e-naz pe gard-e-safar saja bhi chuke ki tere shahr se khana-ba-dosh ja bhi chuke pukarte ho hamein kis liye sar-e-maqtal khiraj le bhi chuke zabt aazma bhi chuke tere khayal ki zid hai ki ham-rikab rahe ki hum to khema-e-dil ke diye bujha bhi chuke jo be-charagh bhatakte the teri galiyon mein guzar ke jaan se apna suragh pa bhi chuke unhen batane chale hain wo hurmat-e-paiman jo tere hijr se ahd-e-wafa nibha bhi chuke wo jin ki aankhon mein raushan the zindagi ke charagh wo log ja bhi chuke naqsh-e-pa mita bhi chuke rahe hain wahshat-e-zindan mein sar-ba-kaf raqsan hamin jo hurmat-e-dar-o-rasan badha bhi chuke chale hain shah-ji maqtal ko be-khudi odhe jo hashr aana ho aae bala se aa bhi chuke