jahan ki hai jurm ek nigah karna

jahan ki hai jurm ek nigah karna
wahin hai gunah pe dat ke gunah karna

buton se badha ke mel nibah karna
jahan ke safed ko he siyah karna

sikhaya hai mujh ko is meri be-kasi ne
usi ko sitam ka us ke gawah karna

lubhane se dil ke tha to ye muddaa tha
gharib ki zindagi ko tabah karna

yahi to hai han yahi wo ada-e-masum
alag hui jo sikha ke gunah karna

jafa se bhi len maza na wafa ka kyunkar
hamein to har ek tarah hai nibah karna

ye kahta hai chashm-e-hosh-ruba ka jadu
tujhe tere hath se hai tabah karna

teri nazar se sikha hai aah-e-dil ne
jigar mein shigaf dal ke rah karna

nazar mein nazar gadae hai yun wo zalim
ki 'arzu' ab kathin hai ek aah karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close