jalwa-farosh-e-khas ka andaz-e-am dekh har zarre ke wajud mein us ka qayam dekh aaega past tujh ko nazar phir har aastan sajdon mein baith kar tu hasin ka maqam dekh teri talash mein hain mere sath sargiran meri hayat-o-maut ka sauda-e-kham dekh ho dekhna uruj mein shan-e-zawal agar ye mehr-e-nim-roz ye mah-e-tamam dekh 'makhmur' agar samajh mein na aae maal-e-zist baad numud-e-subh siyahi-e-sham dekh