jalwa tera is tarah se nakaam na hota hum tur pe hote to ye anjam na hota sunta main kahan waiz-e-nadan ki nasihat gar waz-o-nasihat mein tera nam na hota ghunche ki chatak dil ki tahon mein na utarti is mein jo nahufta tera paigham na hota ye rizq ki hai kor-nigahi ki nahin baat dana bhi na hota jo kahin dam na hota katta bhala kyunkar shab-e-furqat ka andhera palkon pe charaghan jo sar-e-sham na hota 'azad' nasheman se qafas mein jo na aate is waqt jo hasil hai wo aaram na hota