jam la jam ki aalam se ji Darta hai

jam la jam ki aalam se ji darta hai
asar-e-gardish-e-ayyam se ji darta hai

lab pe ab aariz-o-gesu ke fasane kya hon
fitnaha-e-sahar-o-sham se ji darta hai

tujh ko main dhundhta phirta hun dar-o-baam se dur
ab tajalli-e-dar-o-baam se ji darta hai

gul khilae na kahin fitna-e-dauran kuchh aur
aaj-kal daur-e-mai-o-jam se ji darta hai

nigah-e-mast ke qurban meri samt na dekh
mauja-e-baada-e-gulfam se ji darta hai

chhod kar rah mein but-khane guzar jata hun
hosh mein jalwa-e-asnam se ji darta hai

raat ki zulmaten badhti hi chali jati hain
'akhtar' apna to sar-e-sham se ji darta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close