jhuk sake aap ka ye sar to jhuka kar dekhen

jhuk sake aap ka ye sar to jhuka kar dekhen
rah mein dil hai ki patthar hai utha kar dekhen

ye bhi ek shart hai takmil-e-hikayat ke liye
haal-o-mustaqbil-o-mazi ko mila kar dekhen

aabru husn ki ho jae na pamal-e-nazar
dekhna ho to uthen khud se chhupa kar dekhen

ghairat-e-zuhra-wshan rashk-e-qamar hain ki nahin
aao in khak ke zarron ko utha kar dekhen

ab nahin milne ke duniya mein wo khasan-e-junun
lakh hum ahl-e-khirad shama jala kar dekhen

un hijabon ko jo manus-e-azal hain ab tak
aao fitrat ki nigahon mein sama kar dekhen

khud hi khul jaega arbab-e-gulistan ka bharam
chhed kar gul ko to ghunchon ko hansa kar dekhen

zindagi dard sarapa hi nahin pyar bhi hai
aao is pyar ko naghmon mein saja kar dekhen

kya ata hoti hai kya ajr-o-sila milta hai
ai 'raza' dast-e-talab hum bhi badha kar dekhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close