jins-e-giran thi KHubi-e-qismat nahin mili

jins-e-giran thi khubi-e-qismat nahin mili
bikne ko hum bhi aae the qimat nahin mili

hangam-e-roz-o-shab ke mashaghil the aur bhi
kuchh karobar zist se fursat nahin mili

kuchh dur hum bhi sath chale the ki yun hua
kuchh masalon pe un se tabiat nahin mili

ek aanch thi ki jis se sulagta raha wajud
shoala sa jag utthe wo shiddat nahin mili

wo be-hisi thi khushk hua sabza-e-umid
barse jo subh-o-sham-o-chahat nahin mili

khwahish thi justuju bhi thi diwangi na thi
sahra-naward ban ke bhi wahshat nahin mili

wo raushni thi sae bhi tahlil ho gae
aaina-ghar mein apni bhi surat nahin mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close