jis ne aadam ke tain jaan baKHsha

jis ne aadam ke tain jaan bakhsha
khizr ko chashma-e-haiwan bakhsha

pir-e-kanan ko diya dard-e-firaq
yusuf-e-misr ko zindan bakhsha

takht barbaad sulaiman ka kiya
dew ko mulk-e-suleman bakhsha

zinat aflak ko di anjum se
mahr ko nur-e-darakhshan bakhsha

zewar-e-husn kiya chashm-e-haya
ishq ko dida-e-hairan bakhsha

kohkan ko kamar-e-koh diya
qais ko dasht ka daman bakhsha

rang-o-bu gul ko diya gulshan mein
sair-e-bulbul ko gulistan bakhsha

kufr kafir ke nasibon mein likha
ahl-e-islam ko iman bakhsha

roz-e-misaq mein 'hatim' ke tain
chashm-e-giryan dil-e-biryan bakhsha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close