jo baat kahni hai mujh ko wo kahne wala hun kisi ke khauf se kab chup main rahne wala hun kahan kahan mujhe rokoge band bhandhoge main chadhta dariya hun har samt bahne wala hun tumhaare chahne walon se main bhi waqif hun tumhaara dard main tanha hi sahne wala hun meri bhi baat suno meri shakl pahchano tumhaare shahr ka ek main bhi rahne wala hun har ek shakhs nadamat se sar-nigun hoga bade saliqe se wo baat kahne wala hun zamana koi saza de ki kah de diwana 'matin' main kahan khamosh rahne wala hun