jo baitho sochne har zakhm-e-dil kasakta hai ghazal kaho to qalam se lahu tapakta hai main ab bhi rota hun mahrumiyon pe bachpan ki khilaune dekh ke dil aaj bhi humakta hai faza mein khauf-e-hawa bolne nahin deta zamin pe aa ke parinda bahut chahakta hai tumhaara lahja to dariya hai bahte pani ka ye aag ban ke samundar mein kyun bhadakta hai dil-o-dimagh ke sab tar bajne lagte hain naqab chehra-e-fitrat se jab sarakta hai amir-e-shahr banaya gaya hai jis din se hamare ghaw sitamgar bahut namakta hai chamakne lagte hain 'anjum' tumhaari yaadon ke wo aasman pe jab raushni chhidakta hai