jo bhi mil jata hai ghar-bar ko de deta hun ya kisi aur talabgar ko de deta hun dhup ko deta hun tan apna jhulasne ke liye aur saya kisi diwar ko de deta hun jo dua apne liye mangni hoti hai mujhe wo dua bhi kisi gham-khwar ko de deta hun mutmain ab bhi agar koi nahin hai na sahi haq to main pahle hi haqdar ko de deta hun jab bhi likhta hun main afsana yahi hota hai apna sab kuchh kisi kirdar ko de deta hun khud ko kar deta hun kaghaz ke hawale aksar apna chehra kabhi akhbar ko deta hun meri dukan ki chizen nahin bikti 'nazmi' itni tafsil kharidar ko de deta hun