jo mai-khane mein jata tha qadam rakhte jhijhakta tha ki saghar aankh dikhlata tha aur shisha bhabhakta tha tamasha ho raha tha abr mein rone se kya mere udhar pani barasta tha idhar lohu tapakta tha bada ehsan kiya jo dil ko mere khinch kar kadha ki muddat se mere sine mein jun kanta khatakta tha tere kuche mein main ne aaj dasht-e-karbala dekha koi mara pada tha aur pada koi sisakta tha gaya tha teliya kapdon se tu aaina-khane mein ki ab tak khana-e-aina us bu se mahakta tha maza lene ke tain shirin-maqali ka teri 'hatim' khada munh ko adab se dur nadida sa takta tha