jo na mil baitha ho phir us se shikayat kaisi main akela hi chala hun to rifaqat kaisi khud to aaenge nahin aur bulaenge hamein dekhiye aap ne dali ye riwayat kaisi main ne chaha to bahut tut ke chaha na gaya yun bhi tuti hai kai bar qayamat kaisi tum ne jine ka mujhe hausla bakhsha hai to phir mujh se rahte ho gurezan ye siyasat kaisi jab bichhadna hi mohabbat ka taqaza thahra phir nigahon mein meri jaan ye nadamat kaisi