jo zehn-o-dil ke zahrile bahut hain

jo zehn-o-dil ke zahrile bahut hain
wahi baaton ke bhi mithe bahut hain

chalo ahl-e-junun ke sath ho len
yahan ahl-e-khirad saste bahut hain

meri be-chehragi par hansne walo
tumhaare aaine dhundle bahut hain

zara yaadon ke hi patthar uchhaalo
nawah-e-jaan mein sannate bahut hain

teri baala-qadi badnam hogi
yahan ke baam-o-dar niche bahut hain

shajar be-saya hain suraj barahna
magar hum azm ke pakke bahut hain

karo ab fath ka elan 'akhtar'
saron se surkh-ru neze bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close