jo zindagi bachi hai use mat gawaiye

jo zindagi bachi hai use mat gawaiye
behtar ye hai ki aap mujhe bhul jaiye

har aan ek judai hai khud apne aap se
har aan ka hai zakhm jo har aan khaiye

thi mashwarat ki hum ko basana hai ghar naya
dil ne kaha ki mere dar-o-baam dhaiye

thuka hai main ne khun hamesha mazaq mein
mera mazaq aap hamesha udaiye

hargiz mere huzur kabhi aaiye na aap
aur aaiye agar to khuda ban ke aaiye

ab koi bhi nahin hai koi dil-mohalle mein
kis kis gali mein jaiye aur gul machaiye

ek taur-e-dah-sadi tha jo be-taur ho gaya
ab jantari bajaiye tarikh gaiye

ek lal-qila tha jo miyan zard pad gaya
ab rang-rez kaun se kis ja se laiye

shair hai aap yani ki saste latif-go
rishton ko dil se roiye sab ko hansaiye

jo haalaton ka daur tha wo to guzar gaya
dil ko jala chuke hain so ab ghar jalaiye

ab kya fareb dijiye aur kis ko dijiye
ab kya fareb khaiye aur kis se khaiye

hai yaad par madar mere karobar ka
hai arz aap mujh ko bahut yaad aaiye

bas filon ka bojh uthaya karen janab
misra ye 'jaun' ka hai ise mat uthaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close