junun ke walwale jab ghuT gae dil mein nihan ho kar

junun ke walwale jab ghut gae dil mein nihan ho kar
to utthe hain dhuan ho kar gire hain bijliyan ho kar

kuchh aage badh chale saman-e-rahat la-makan ho kar
falak pichhe raha jata hai gard-e-karwan ho kar

kisi din to chale ai aasman baad-e-murad aisi
ki utren kashti-e-mai par ghataen baadban ho kar

na jaane kis bayaban marg ne mitti nahin pai
bagule ja rahe hain karwan-dar-karwan ho kar

wafur-e-zabt se betabi-e-dil badh nahin sakti
gale tak aa ke rah jate hain nale hichkiyan ho kar

gulu-gir ab to aisa inqalab-e-rang-e-alam hai
ki naghme nikle minqar-e-anadil se fughan ho kar

jo ho kar abr se mayus khud sinche kabhi dahqan
jala den khet ko pani ki lahren bijliyan ho kar

jahan mein washud-e-khatir ke saman ho gae lashe
jagah rahat ki na-mumkin hui hai la-makan ho kar

hanse koi na bijli ke siwa is dar-e-matam mein
agar rah jae sara khet kisht-e-zafaran ho kar

alam mein aashiyan ke is qadar tinke chune main ne
ki aakhir bais-e-taskin hue hain aashiyan ho kar

ghataen ghir ke kya kya hasrat-e-farhad par roin
chaman tak aa gain nahren pahadon se rawan ho kar

dil-e-shaida ne paya ishq mein mearaj ka rutba
yahan akasr buton ke zulm tute aasman ho kar

jo darte darte dil se ek harf-e-shauq nikla tha
wo us ke samne aaya zaban par dastan ho kar

nikal aae hain har iqrar mein inkar ke pahlu
bana deti hain hairan teri baaten makr yan ho kar

nazakat ka ye aalam phul bhi tode to bal kha kar
na jaane dil mera kis tarah toda pahlwan ho kar

tadarrau-o-kabak par hans kar utthe khud ladkhadate hain
subuk karte hain un ko paenche bar-e-giran ho kar

gala ghonta hai zabt-e-gham ne kuchh aisa ki mushkil hai
ki nikle munh se aawaz-e-shikast-e-dil fughan ho kar

pata andesha-e-salik ne paya manzil-e-dil ka
tu palta la-makan se aasman-dar-asman ho kar

hui phir dekhiye aa bustan-e-shadi-o-gham duniya
abhi paida hue the ranj-o-rahat to aman ho kar

jo nikli hogi koi aarzu to ye bhi niklega
tumhaara tir-e-hasrat ban gaya dil mein nihan ho kar

utar jaega tu o aaftab-e-husn kothe se
girega saya-e-diwar hum par aasman ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close