junun se rah-e-KHirad mein bhi kaam lena tha

junun se rah-e-khirad mein bhi kaam lena tha
har ek khar se izn-e-khiram lena tha

faraaz-e-dar pe daman kisi ka tham liya
junun-e-shauq ko bhi intiqam lena tha

hazar bar nataej se ho ke be-parwa
usi ka nam liya jis ka nam lena tha

ilaj-e-tishna-labi sahl tha magar saqi
jo dast-e-ghair mein hai kab wo jam lena tha

junun ki rah mein tadbir-e-sarkhushi ke liye
bas ek walwala-e-tez-gam lena tha

shikasta lakh thi kashti hazar tha tufan
khayal mein koi daman to tham lena tha

nasim ek rawish tak pahunch ke tham si gai
ki na-shagufta kali ka payam lena tha

shab-e-firaq mein bhi kuchh diye chamakne lagen
nigah-e-shauq se itna to kaam lena tha

hazar bar teri bazm mein hua mahsus
liya jo ghair ne mujh ko wo jam lena tha

main ek jura-e-masti pe sulh kyun karta
mujhe to jam mein mah-e-tamam lena tha

ghazab hua ki in aankhon mein ashk bhar aae
nigah-e-yas se kuchh aur kaam lena tha

kisi ne aag lagai ho koi mujrim ho
hamein to apne hi sar ittiham lena tha

nigah-e-shokh yahi fath aur kuchh hoti
jo gir rahe the unhen badh ke tham lena tha

ye bazm-e-khas ka aish-e-do-roza kya hoga
gham-e-awam se aish-e-dawam lena tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close