kab suni tumne ragni meri

kab suni tum ne ragni meri
guftani hai ye khamushi meri

ek aahat se jagti hun main
ek dastak hai zindagi meri

abr-e-zulmat kise daraata hai
aur phailegi chandni meri

kaun thahrega dekhna ye hai
daur-e-mina ya tishnagi meri

aah aaya hi tha wo sapne mein
dafatan aankh khul gai meri

wajh-e-bechaini kya bataun main
chain tera hai be-kali meri

tujh pe guzre na aalam-e-wahshat
tu na dekhe ye bebasi meri

is ne rakkha jo samne saghar
badh gai aur tishnagi meri

main to sae se apne katraun
dekh khud se ye kaj-rawi meri

tum farozan ho ek sitare se
mere andar hai raushni meri

tujh ko dekhun ya kuchh nahin dekhun
teri khwahish hai didani meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close