kabhi bhule se mumkin ho meri jaanib agar hona to auron ki taraf se apni nazren pher kar hona musalsal hijr ke sadme ye dil ab sah nahin sakta ghadi bhar ka juda hona agar bar-e-digar hona ghanimat hai ki ek rasmi taaruf to mayassar hai nahin aasan kisi mah-wash ka manzur-e-nazar hona na hona tum kisi ke bhi yahan par ham-safar yaro! agar hona samajh kar soch kar kuchh dekh kar hona nahin hai bais-e-azar-e-jaan tarz-e-amal koi magar us ka mere bare mein akasr be-khabar hona wo sun lete hain yun to sher mere ru-ba-ru phir bhi zaruri to nahin har dil pe sheron ka asar hona main apni zat mein jaisa bhi hun jo kuchh bhi hun 'nasir' farishton se kahin behtar hai mujh sa bhi bashar hona