kabhi jo dhup hamare makan mein aa jae

kabhi jo dhup hamare makan mein aa jae
to saya-dar shajar bhi aman mein aa jae

main shahzada nahin to faqir hi behtar
kahin to zikr mera dastan mein aa jae

main tera nam saliqe se to pukarun magar
khuda-na-khwasta luknat zaban mein aa jae

kise dubona hai aur kis ko par karna hai
shuur itna to aab-e-rawan mein aa jae

main ek lamhe ko sadiyon ki zindagi samjhun
mera yaqin jo hisar-e-guman mein aa jae

jhulas chuka hai bahut dhup mein badan mera
so us se kahta hun ab saeban mein aa jae

main apni aql se kuchh aur kaam le lunga
kabhi ye dil bhi mera imtihan mein aa jae

safar ki sari aziyyat pe khak udti hai
bhatak ke koi agar karwan mein aa jae

main jis ko raaz batata hun apni khalwat ke
ajab nahin ki saf-e-dushmanan mein aa jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close