kabhi jo us ki tamanna zara biphar jae nasha phir us ki ana ka utar utar jae charagh-e-shab mein to jalne ka hausla hi nahin wo chahta hai ki tohmat hawa ke sar jae zamin pe ghalba-e-shaitan falak bara-e-malak bashar gharib pareshan ki wo kidhar jae meri hayat ka suraj hai su-e-gharb magar muhaal hai ki mera zauq-o-shauq mar jae charagh-e-zehn jo raushan nahin to kuchh bhi nahin wo tare tod ke lae ki chand par jae