kabhi sarab karega kabhi ghubar karega ye dasht-e-jaan hai miyan ye kahan qarar karega abhi ye bij ke manind phutta hua dukh hai bahut dinon mein koi shakl ikhtiyar karega ye khud-pasand sa gham hai so ye umid bhi kam hai ki apne bhed kabhi tujh pe aashkar karega tamam umr yahan kis ka intizar hua hai tamam umr mera kaun intizar karega nashe ki tarah mohabbat bhi tark hoti nahin hai jo ek bar karega wo bar bar karega