kabhi to is aab-o-hawa ko badal kar

kabhi to is aab-o-hawa ko badal kar
mujhe dekh khud se tu bahar nikal kar

tamasha nahin hai faqat teri duniya
khula bhed mujh par ye ghar se nikal kar

ye kam to nahin hai ki shahr-e-sukhan tak
main khud apne pairon pe aaya hun chal kar

kahan dekhta hai idhar ko udhar ko
ye uljhan hai teri ise khud hi hal kar

zamin nikli jati hai pairon se mere
bahut chal raha hun agarche sanbhal kar

badal jae shayad mizaj us ka 'khawar'
chalo dekhte hain ye mausam badal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close