kabhi utren agar poshak ke rang falak dekhega meri khak ke rang badi mushkil mein hai ab ye zamin-zad juda kar khak se aflak ke rang kahin dekho izafi kuchh nahin hai bahut phenke hain us ne tak ke rang kahani hai koi dariya mein zinda lab-e-dariya ajab hain khak ke rang ye qissa hi agar hai gumrahi ka to kya chamken yahan idrak ke rang falak ne faisla kuchh kar liya hai ki maddham pad rahe hain khak ke rang wahi hai haal mere dil ka 'khawar' wahi hai dida-e-nam-nak ke rang