kahne laga khulte hue darwaza hawa se ye pahla taaruf hai mera taza hawa se phir chum gain phul ke rukhsar hawaen phir phul ke chehre pe laga ghaza hawa se khushbu ka sarapa hai ki phulon ki hai tarkib wo aae to ho jata hai andaza hawa se rakhte hain munderon pe diye apne jala kar hum ne kabhi puchha nahin khamyaza hawa se kal raat darichon mein koi aur nahin tha bikhra tha khayalat ka shiraaza hawa se kahna hai use jo bhi 'hasan' phone pe kah do ab tez hai raftar mein aawaza hawa se