kahta hai na dil us but-e-be-pir se uljha

kahta hai na dil us but-e-be-pir se uljha
naseh mera dil is teri taqrir se uljha

dil yar ki jo zulf-e-girah-gir se uljha
saudai tha achchha hua zanjir se uljha

zanjira-e-har-satr hai zanjir ke manind
dil nama-e-dildar ki tahrir se uljha

abru ki mohabbat nahin achchhi kabhi ai dil
wo qatl hua saf jo shamshir se uljha

kothe pe khade baal sukhate hain wo yani
lije dil-e-alam isi tadbir se uljha

dil hai jo giraftar teri chin-e-jabin ka
is dam mein main khubi-e-taqdir se uljha

saffak zara kijiyo to is ko samajh kar
ek tar-e-rag-e-jaan hai tere tir se uljha

baala-e-falak mah se haale pe padi os
haala jo kali ki teri zanjir se uljha

sad-chaak hua yan dil-sauda-zada apna
shana jo wahan zulf-e-girah-gir se uljha

sad-shukr khuda hath rakha dosh pe mere
jab paicha pa-e-but-e-be-pir se uljha

'daula' tu wo hai saf chhuta khalq-e-khuda se
ek rishta-e-akhlaq-e-jahangir se uljha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close