kahta nahin hun logo main kar ke dikhaunga

kahta nahin hun logo main kar ke dikhaunga
phir se junun charagh hawaen jalaunga

aankhon ne nind-rukh na kiya jaanta tha main
tujh khwab tak rasai kabhi main na paunga

suraj sitam-nishana bana hun isi liye
chaha tha dhup qahr se tujh ko bachaunga

tanha safar pe mujh ko rawana to kar diya
socha nahin ki tujh ko bahut yaad aaunga

sach sun nahin sakega koi warna ji mein tha
duniya ko jaisa dekha hai sab ko bataunga

bite dinon ke nanhe parindon ke sae mein
jine ka lutf aur bhi kuchh din uthaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close