kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi
na kisi ka daman-e-chaak tha na kisi ki tarf-e-kulah thi

kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palat gae
na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi

dil-e-kam-alam pe wo kaifiyat ki thahar sake na guzar sake
na hazar hi rahat-e-ruh tha na safar mein ramish rah thi

mere chaar-dang thi jalwagar wahi lazzat-e-talab-e-sahar
magar ek ummid-e-shikasta-par ki misal-e-dard siyah thi

wo jo raat mujh ko bade adab se salam kar ke chala gaya
use kya khabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close