kai dinon tak jab apne kamre se hum na nikle to log samjhe

kai dinon tak jab apne kamre se hum na nikle to log samjhe
kabhi kisi ko bahut satate hain ye ujale to log samjhe

badal gae jab kisi ki ghurbat mein aaj raste to log samjhe
tha jaana school kaam par kyon gae wo bachche to log samjhe

hadaf pe munh-zor aandhiyon ke faqat hamare charagh kab the
bikhar gae jab kisi gharaunde ke sare tinke to log samjhe

koi na mane karahaten jab bata rahi thin ki waqt kam hai
jab un ke kandhon pe aakhiri hum safar ko nikle to log samjhe

jo waqt par hi na kaam aaen to dost kya hain aziz kya hain
kisi dukan par nahin chale jab ye khote sikke to log samjhe

hain bhid mein bhi hum aaj tanha ye ajnabiyyat ki dhundh kya hai
ude dhuen mein nae talluq purane rishte to log samjhe

jise samajhte hain shairi hum safar musalsal hai khushbuon ka
ghazal ki shakhon pe khubsurat jo shahr mahke to log samjhe

na din par hain amal hamare na fikr koi samaj ki hai
tarah tarah ke jab aaj hum par azab utre to log samjhe

gham-o-khushi bhi to ek nasha hai sambhalna aasan nahin hai 'khalid'
bina piye bhi qadam hamare jo aaj bahke to log samjhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close