kaleja munh ko aata hai shab-e-furqat jab aati hai akele munh lapete rote rote jaan jati hai lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai dikhati hai kabhi bhaala kabhi barchhi lagati hai nigah-e-naz-e-jaanan hum ko kya kya aazmati hai wo bikhrane lage zulfon ko chehre par to main samjha ghata mein chand ya mahmil mein laila munh chhupati hai karegi apne hathon aaj apna khun mashshata bahut rach-rach ke talwon mein tere mehndi lagati hai na koi zor us ayyar par ab tak chala apna yahan dam tutta hai aur dam mein jaan jati hai tadapna tilmilana lotna sar pitna rona shab-e-furqat akeli jaan par sau aafat aati hai pachhaden kha raha hun lotta hun dard-e-furqat se ajal ke panw tuten kyun nahin is waqt aati hai