kar bura to bhala nahin hota kar bhala to bura nahin hota ek wahi lapata nahin hota jis ko apna pata nahin hota sab nishane agar sahih hote tir koi khata nahin hota kaun aashiq hai kaun hai mashuq pyar mein faisla nahin hota koi aisi jagah hi dikhlao jis jagah par khuda nahin hota kucha-e-yar jo na jata ho rasta rasta nahin hota kaamyabi ke raston ki taraf bich ka rasta nahin hota sari duniya to ho gai meri ek faqat tu mera nahin hota dil nazar par agar nazar rakhte pyar ka hadsa nahin hota jab talak tu na ho khayalon mein koi sajda rawa nahin hota us ki makhmur aankh ke aage mai-kada mai-kada nahin hota koshishen khud hi karna padti hain bhid mein rasta nahin hota ek arsa hua ki nind se bhi aamna-samna nahin hota pyar ho jae kab kahan kis se ye kisi ko pata nahin hota hum ne dekha hai ru-ba-ru un ke aaina aaina nahin hota sadqa khairaat kijiye sahab muskurana bura nahin hota kya karamat bhi ab nahin hogi mana ab moajaza nahin hota hath mushkil mein chhod jate ho ye to phir thamna nahin hota pahle nazren atut thin aur ab hath dil se juda nahin hota 'mufti' hum hi bhanwar-nasib rahe warna sahil pe kya nahin hota