kar-e-wahshat mein bhi majbur hai insan ab tak

kar-e-wahshat mein bhi majbur hai insan ab tak
hath apna hai aur apna hi gareban ab tak

dhajjiyan mere gareban ki udi phirti hain
gunjta hai mere naron se bayaban ab tak

kab se main kunj-e-gham-e-dil mein chhupa baitha hun
yaad karti hai mujhe shorish-e-dauran ab tak

mere hisse mein bhi hai daulat-e-bedari-e-shab
ek khalish si hai mata-e-gham-e-pinhan ab tak

but-kada tut ke kabe ki bana dal gaya
dil jo ujda to hai ek umr se viran ab tak

tu guzargah-e-tamanna mein tha ek partw-e-mah
main andheron mein bhatakta hun hirasan ab tak

tu wo suraj tha ki mausam ki na thi tujh ko khabar
main hun aandhi mein charagh-e-tah-e-daman ab tak

mere ehsas ki garmi mere dil ki barsat
sab ruten hain teri aankhon se numayan ab tak

ek surat thi jo aankhon mein liye phirta hun
ek wahshat thi jo rakhti hai pareshan ab tak

chand yaaden hain meri zist ka hasil 'baqar'
inhin yaadon ke sahaare hun ghazal-khwan ab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close