karishma-sazi-e-dil dekhta hun tumhein apne muqabil dekhta hun jahan manzil ka imkan hi nahin hai wahan aasar-e-manzil dekhta hun sada di tu ne kya jaane kahan se magar main jaanib-e-dil dekhta hun kahan ka rahnuma aur kaisi rahen jidhar badhta hun manzil dekhta hun ishaara hai tera tufan ki jaanib magar main hun ki sahil dekhta hun mohabbat hi mohabbat hai jahan par mohabbat ki wo manzil dekhta hun mere hathon mein bhi hai saz lekin abhi main rang-e-mahfil dekhta hun tere hathon se jo tuta tha ek din wahi tuta hua dil dekhta hun kabhi tufan hi tufan hai nazar mein kabhi sahil hi sahil dekhta hun ghurur-e-husn-e-baatil par nazar hai niyaz-e-ishq-e-kaamil dekhta hun 'majaz' aur husn ke qadmon pe sajde maal-e-zoam-e-baatil dekhta hun