karta hai koi aur bhi girya mere dil mein

karta hai koi aur bhi girya mere dil mein
rahta hai koi aur bhi mujh sa mere dil mein

wo mil gaya phir bhi ye lagatar udasi
shayad hai koi aur bhi dhadka mere dil mein

ek ranj mein duba hua be-nam musafir
aaya tha badi dur se thahra mere dil mein

jis sham ko bhule hue ek umr hui thi
chamka hai usi sham ka tara mere dil mein

ek huk si uthti hai sar-e-baam-e-tamanna
wo meri khushi se kabhi rahta mere dil mein

aae hain yahan tak to chalo us se bhi mil len
ye dhyan bhi ek bar to aaya mere dil mein

jis aag ko kahte hain qayamat se nahin kam
bahta hai usi aag ka dariya mere dil mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close