karun na yaad magar kis tarah bhulaun use ghazal bahana karun aur gungunaun use wo khar khar hai shakh-e-gulab ki manind main zakhm zakhm hun phir bhi gale lagaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karun ab kahan se laun use magar wo zud-faramosh zud-ranj bhi hai ki ruth jae agar yaad kuchh dilaun use wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo rahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naseho ganwaun use jo ham-safar sar-e-manzil bichhad raha hai 'faraaz' ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use