KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi

khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi
shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
kabhi samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya
magar ek shakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin bayan karun
ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi
wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka
ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi
tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar sin yahan hua
ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalwagari rahi
kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun
na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi
This is a great khatri shayari. True lovers of qadar shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this dhokha dhadi shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close