KHabar kuchh aisi uDai kisi ne ganw mein

khabar kuchh aisi udai kisi ne ganw mein
udas phirte hain hum bairiyon ki chhanw mein

nazar nazar se nikalti hai dard ki tisen
qadam qadam pe wo kante chubhe hain panw mein

har ek samt se ud ud ke ret aati hai
abhi hai zor wahi dasht ki hawaon mein

ghamon ki bhid mein ummid ka wo aalam hai
ki jaise ek sakhi ho kai gadaon mein

abhi hai gosh bar-awaz ghar ka sannata
abhi koshish hai badi dur ki sadaon mein

chale to hain kisi aahat ka aasra le kar
bhatak na jaen kahin ajnabi fazaon mein

dhuan dhuan si hai kheton ki chandni 'baqi'
ki aag shahr ki ab aa gai hai ganw mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close