khaDa tha kaun kahan kuchh pata chala hi nahin

khada tha kaun kahan kuchh pata chala hi nahin
main raste mein kisi mod par ruka hi nahin

hawaen tez thin itni ki ek dil ke siwa
koi charagh sar-e-rahguzar jala hi nahin

kahan se khanjar-o-shamshir aazmata main
mere adu se mera samna hua hi nahin

dukhon ki aag mein har shakhs jal ke rakh hua
kisi gharib ke dil se dhuan utha hi nahin

hamara shahr-e-tamanna bahut hasin tha magar
ujad ke rah gaya aisa ki phir basa hi nahin

wo ban gaya mera naqid pata nahin kyun kar
mera kalam to us ne kabhi padha hi nahin

main apne daur ki aawaz tha magar 'khawar'
kisi ne bazm-e-jahan mein mujhe suna hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close