KHayal-e-pursish-e-farda se ghabrana nahin aata

khayal-e-pursish-e-farda se ghabrana nahin aata
gunah karta hun lekin mujh ko pachhtana nahin aata

yaqin-e-dawa-e-ulfat nahin mana nahin aata
magar ye bhi to hai jhuton ko jhutlana nahin aata

tabiat hai ghayur aisi ki tishna-kaam rahta hun
lagi-lipti kisi ki sun ke pi jaana nahin aata

meri nakaamiyan dil ka chaman shadab rakhti hain
ye wo kaliyan hain jin ko khil ke murjhana nahin aata

kisi ke wada-e-baatil se taskin ho nahin sakti
khilaune de ke mujh ko dil ka bahlana nahin aata

wafa ki dastan duniya mein 'kaifi' kab nahin chhidti
zaban-e-khalq par kab mera afsana nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close