khayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain andheri raat ki tanhaiyan kuchh aur kahti hain kabhi jam-e-tarab ki samt dast-e-shauq badhta hai to us kaam-o-dahan ki talkhiyan kuchh aur kahti hain meri nazron ki pahnai mein hain ajza-e-do-alam guman-o-waham ki parchhaiyan kuchh aur kahti hain faraghat chahti hai zindagi do-chaar lamhe ki magar rah-e-wafa ki sakhtiyan kuchh aur kahti hain meri be-khwab aankhon mein kyayal-e-subh-e-farda hai dil-e-bedar ki khamoshiyan kuchh aur kahti hain