khinch ke mahbub ke daman ki taraf aa gae aur bhi uljhan ki taraf tum chhupate raho kitna us ko bijliyan aaengi khirman ki taraf har taraf nur ka tadka dekha kaun aaya mere aangan ki taraf ai chaman walo rukun ya jaun ek dhuan sa hai nasheman ki taraf khair-maqdam ko jhukengi shakhen ek zara aao to gulshan ki taraf 'arsh' kis dost ko apna samjhun sab ke sab dost hain dushman ki taraf