KHizan ka qarz to ek ik daraKHt par hai yahan

khizan ka qarz to ek ek darakht par hai yahan
ye aur baat ki har shakh bar-war hai yahan

jo soch sakta hai wo zehn jal raha hai abhi
jo dekh sakti hai wo aankh khun mein tar hai yahan

sunega kaun in aankhon ki be-sada fariyaad
samaaton ka to andaz hi digar hai yahan

sataya aaj munasib jagah pe barish ne
isi bahane thahar jaen us ka ghar hai yahan

hisar-e-jism se bahar bhi zindagi hai mujhe
ye aur baat ki ehsas mo'tabar hai yahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close