KHud apne jurm ka mujrim ko etiraf na tha

khud apne jurm ka mujrim ko e'tiraf na tha
magar ye jazba ba-nam-e-junun muaf na tha

pighal to sakta hai loha nigah-e-azm to ho
ye pahle qaid ki diwar mein shigaf na tha

hasad ki gard thin bughz aur nafrat ki
mere wajud pe aisa koi ghilaf na tha

ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se
kisi ko yun to koi mujh se ikhtilaf na tha

tere jamal se mahfil mein ab sukun sa hai
wagarna zehn kisi ka kisi se saf na tha

mera nasib ki kashti kinare lag na saki
hawa ka jhonka to waise mere khilaf na tha

jadid lahja ye andaz kis liye 'bekal'
tujhe to husn-e-riwayat se inhiraf na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close