KHuda kare ki ye miTTi bikhar bhi jae ab

khuda kare ki ye mitti bikhar bhi jae ab
chadha hua hai jo dariya utar bhi jae ab

ye roz roz ka milna bichhadna khalta hai
wo meri ruh ke andar utar bhi jae ab

wahan wo phul sa chehra hai muntazar us ka
kaho ye shair-e-awara ghar bhi jae ab

main apne-ap ko kab tak yunhi samete phirun
chale wo aandhi ki sab kuchh bikhar bhi jae ab

usi ki wajh se sare wabaal hain 'faruq'
badan ka qarz ada ho ye sar bhi jae ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close